BMC B ward corruption hi corruption?
Kab rukega ye BMC ka Bhrastachar
GOA HOUSE me hue avaidh kaam kihttps://youtu.be/grNhp6GbI7Y?feature=shared koi awaz nahi hai, iske proposal ko reject kar diya gaya par adhikari kehte hain "proposal pass ho gaya, Premium bhar diya gaya but proposal ka status still rejected hai", sirf kehte hain par batate nahi hai, isi avaidh mafia ki b ward ki ek building me avaidh tarike neechle slab ki height bada kar avaidh kaam kiya jaa raha hai jiski koi awaz nahi hai, samne launga dono jagah ki haqeeqat ko, 52/54, me neeche dono side ki house gully capture kar li gayi, oopar se neeche tak her pher kar lift daali gayi, ground plus 3 aur mezzanine ko ground plus char bana diya gaya, har floor pe addition, alteration, amalgamation kiya gaya, notice, speaking order sab adhikaari ke table ke andar khane ka dastarkhan ban ke padi hai, 113/113A me chaar dukaano ko ek kiya gaya, deewaren tod di gayi, partition kiye gaye, kitchen, bathroom, cabins, room banaye gaye, kisi sade se politician ne dhamki di adhikaariyon ko ispar kaaryavaahi ki to tumhaare kaale chatte patte nikal dunga natija ye hai ki hotel ban ke tayyar ho gayi b ward me saturday aur chhutti me khana, snacks, drinks free milengi, 175, Abdul Rehman Street me saari neeche ki dukaanon ko ek kar unhe chhoti badi size me bana banakar AMAAN MASALAWALA bech raha tha B Ward ke adhikaari so rahe the inke muh pe paani maar ke uthaane par ye notice de diye inki notice ke baad phir AMAAN MASALAWALA ne oopar 1st floor par amalgamation kar giant showroom bana diya tab se ab tak koi kaaryavaahi nahi hui, 192 abdul rehman street me oopar beech ke floor par amalgamation kar showroom banaya gaya ek mala chada gaya, notice dekar chhapri todak kaaryavaahi ki gayi aur uske fauran baad wahan avaidh maale ke oopar ek aur avaidh mala bana diya gaya ab tak kuchh nahi, 148/152 do alag alag imaarat ekndo maale ki ek 3 maale ki dono ko ek kar diya gaya aur donopar, ek par do maale avaidh aur dusri par 1 mala avaidh kar ek 4 maale ki building bana di gayi, Garnet Height me neeche se oopar tak saare glats ko amalgamate kar void hisse ko capture kar liya gaya 1st residential floor ko commercial kar diya gaya, 30 MRTP Notice di gayi (sirf dara kar paisa lene ke liye) aaj din tak jhut bol rahr hai b ward ke adhikaari, 3 baar proposal reject kiya gaya, na demolition hua na MRTP par FIR li gayi, 151, Narayan dhuru street me terrace par anek room bana diye gaye koi jawaab nahi koi kaaryavaahi nahi, 350/354 ko puri tarah se neeche gira diya gaya bina Contractor, LS ke, 94, kazi sayyed street me 3 4 5 maale par addition, alteration, amalgamation kar baat gol kar di gayi.
Isme kitne aise aur avaidh kaam hai byul gaya hun kisi ko yaad ho please batao, sab detail ke sath post karunga. Abhi ke liye aise posstings hi ho rahi hai koshish ye hai ki ek tarike se 2 saal ke andar jo bade bade kaarnaame hue hai un kaarnaamon ko highlight karna hai ksi tarah aise ke bas phir bina jawaab dehi ke aur koi rasta na bache adhikaariyon ke paas.
will try my guts out by hook or by crook kuchh bhi karna pade in adhikaariyon ki jeb aur attitude dono bahar ayengi.
With DUE RESPECT, I appologise to my members and friends but zaruri hai, in pade likhe daku se inki zabaan me baat karna, ye B WARD KE ADHIKAARI samajhte hain inka koi kuchh nahi kar sakta ?
Comments
Post a Comment