Lilavat Hospital 2,100 crore trust fund scam # 

🏥👀 * 8 Kalash Filled With Bones & Human Hair Found': Lilavati Hospital 

Trustee Ne Lagaya Aarop, 


Pichle Board Members Par Black Magic Karne Ka.

Ek chaukane wala khulasa Lilavati Hospital se samne aaya hai, jahan trustee Prashant Mehta ne aarop lagaya hai ki yahaan hatya (bali) se jude tatva ho sakte hain. Yeh aarop tab lage jab unke office ke farsh ke neeche 8 kalash mile, jismein manav khopdiya, haddiyan, baal aur chawal bharay hue the.

🗣️ *Mehta ne kaha, "Humein Lilavati Hospital ke mere office cabin ke farsh ke neeche 8 kalash mile, jismein manav avshesh the. Kuch purane karamchariyon ne December 2024 mein mujhe is baare mein bataya. Yeh darsata hai ki pichle trustees dwara kisi tarah ke bali jaise tantrik kriya-karma kiye gaye honge.

Unhone yeh bhi dawa kiya ki aise hi tantra-mantra se jude vastu unki maa Charu Mehta aur anya permanent trustees ke offices ke neeche bhi mile hain. "Hamare engineering department ne flooring tod kar sab kuch record kiya. In vastuon ke milne se office ka mahaul kaafi negative lagne laga," Mehta ne kaha.

👮‍♂️ * Former Mumbai Police Commissioner aur ab Lilavati Hospital ke Executive Director, Param Bir Singh ne bhi in aaropon ka samarthan kiya. Unka kehna hai, "Itne gambhir aarop hone ke bawajood Bandra police ne FIR darj karne se inkaar kar diya. Isliye humne court ka sahara liya, jinhone police ko FIR darj karne ke bajaye apni alag jaanch karne ka faisla liya.

 11 March 2025 ko ek press conference ke dauraan, jismein Rs. 2,100 crore trust fund scam par charcha ho rahi thi, Mehta aur Singh ne bhi pichle trustees dwara tantrik kriya karne ka aarop lagaya.




Comments

Popular posts from this blog